Aadhaar Card Status kaise check kare : Top 5 ways

Aadhaar Card Status kaise check kare : Top 5 ways

Aadhar Card Har indian nagrik ke liye jaroori hota hai. Ek bar jab aap aadhaar card ke liye apply kar lete hai to wo 30 se 90 dino me aapke ghar Post-Order ke dwara bhej diya jata hai.

Jab aapko Aadhar card prapt karne me deri hoti hai Or Phir aapka Aadhar Number generate nahi huaa hota hai to aap ko Apne Aadhar card status ki janne ki jaroorat padti hai. Yaha par aapko Top 5 ways se Aadhar Card Status ki jankari de rahe hai.

 1. Acknowledgement Slip se

Jab aap Aadhar card ke liye Online Aawedan submit karte hai to aapko ek slip diya jata hai. Jisme aapke Bio-Data ka vivaran hota hai. Usme Enrollment ID, Date and Time, name Aadi likha Hota hai. Aapko slip se aadhar card status ki jankari ke liye aap UIDAV ki official Website par jaye.
1. Ab aadhar card status check par jaye.
2. Phir ek page open hoga. Jisme aapko Apni Nimn jankariya Bharna hoga.



  • Enrollment ID - Aapka enrollment ID 14 digits ki bani hoti hai. Aur Ye 3 part me bati hui hoti hai.
  • Date and Time - Thik enrollment ke bagal me Date and Time diya hua hota hai. isme dusre box me pahle date phir time ko ek sath likha jata hai.
  • Security Code - Aapko ek security number milta hai. page par aapko wo number 3 rd box me daalna hota hai.

3. Ab aap Check status par click kare aur ab aap apne aadhar card status ki jankari le sakte hai.

 2. Bina Acknowledgement Slip se


Aap bina aadhar card slip se bhi apna aadhar card status check kar sakte hai. Aap apne Lost UID number ko Find kar sakte hai. Iske liye aapko Apna Mobile number chahiye jo aap ne form ko submit karte waqt diya tha.




1. Aap Aadhar kiosek page ko open kare aur Find UID/EID option ko select kare. 
2. Ab aap kya janana chahte hai use select kare yaha par 2 option diya hua hai.
  • a. Enrollment
  • b. Aadhar card number
3. Ab aapko dusre part me aapko ye jankariya bharni hongi.
  • a. Apna Pura name
  • b. E-mail
  • Mobile Number
  • Security Code
4. Ab send One time possword par click kare.
5. Teesre part me aapko apna otp code dalna hoga jo aapke email or mobile number par send kiya hua hoga.
6. Verify Otp par click kare aur apna UID/EID turant prapt kar  le.
7. Ab aap apne UID?EID se aadhar card status check kar sakte hai.

3. SMS ke jariye

Hume Aadhar card status ko janne ke liye ek aur aasan sa step hai. aap apne ghar baithe hi aadhar card ki status check kar sakte hai. Wo bhi chutkiyo me.

1. Aap apna mobile Open kare.
2. Create message me jaye.

3. UID STATUS-space-(28-digit EID) type kare. Aur 51969 par bhej de.
3. Ab aapko aapke aadhar card ki jankari aapke inbox me mil jayengi.

4. Toll Free Number ke jariye

Aap apne aadhar card status ki jankari sirf ek phone call se bhi pa sakte hai. Iske liye aapko UIDAV official toll free number par call karna hoga. Wo Number hai-
➨➤1947

5.Through Post Office

Aap ko apne aadhar card status ki jankari chahiye ho to aap apne post-office par sampark kar sakte hai. Waha par aapko aapke aadhar card status ki jankari de di jayegi. Aap chahe to aap apna aadhar card turant prapt kar sakte hai iske liye aapka card jari kar diya hai tabhi aapko aadhar card mil payega.
Conclusion
To humne aapko 5 best ways se Aadhar Card status check karne ki jankari di. Yadi aapko ye jankari achchhi lage to share jaroor kare.